pedon pe taaza koi khaamoshi lage | पेड़ों पे ताज़ा कोई ख़ामोशी लगे - Aves Sayyad

pedon pe taaza koi khaamoshi lage
kar baat phir aisi jo patthar si lage

hai hijr to rakh maatami andaaz bhi
dekho use lahja na shaadaabi lage

jo bhi samjhte hai yahan mujhko bhala
jaao tumhein meri bhali yaari lage

abke muhabbat aisi mujhko chahiye
jo dard kam de haan magar gahri lage

ik to koi rishta nahin rakhna tumhein
aur chahte ho ye mera dil bhi lage

mere fate kapdo pe hansne waale ja
tere makaanon par badi jaali lage

vo aankh mein ho chahe ho zanjeer mein
hai qaid mein gar to hawaalaati lage

sayyaad ko di ye parindon ne dua
tujhko patang-o-maanjhe se bijli lage

ghar se nikalna hai nahin khwaahish magar
kam kaam ho tankhwaah bhi moti lage

sayyad hamaare naam par kyun jang ho
sayyad gale bhi hamko kyun koi lage

पेड़ों पे ताज़ा कोई ख़ामोशी लगे
कर बात फिर ऐसी जो पत्थर सी लगे

है हिज्र तो रख मातमी अंदाज़ भी
देखो उसे लहजा न शादाबी लगे

जो भी समझते है यहाँ मुझको भला
जाओ तुम्हें मेरी भली यारी लगे

अबके मुहब्बत ऐसी मुझको चाहिए
जो दर्द कम दे, हाँ मगर गहरी लगे

इक तो कोई रिश्ता नहीं रखना तुम्हें
और चाहते हो ये मेरा दिल भी लगे

मेरे फटे कपड़ो पे हँसने वाले जा
तेरे मकानों पर बड़ी जाली लगे

वो आँख में हो चाहे हो ज़ंजीर में
है क़ैद में गर तो हवालाती लगे

सय्याद को दी ये परिंदों ने दुआ
तुझको पतंग-ओ-माँझे से बिजली लगे

घर से निकलना है नहीं ख़्वाहिश मगर
कम काम हो, तनख़्वाह भी मोटी लगे

सय्यद हमारे नाम पर क्यों जंग हो
सय्यद गले भी हमको क्यों कोई लगे

- Aves Sayyad
1 Like

Aankhein Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aves Sayyad

As you were reading Shayari by Aves Sayyad

Similar Writers

our suggestion based on Aves Sayyad

Similar Moods

As you were reading Aankhein Shayari Shayari