dekh uska ishq bhi sar mein rakha hai | देख उसका इश्क़ भी सर में रखा है

  - Aves Sayyad

dekh uska ishq bhi sar mein rakha hai
ek aaseb aaj bhi ghar mein rakha hai

ham zameen waale rakhe hain darmiyaan mein
bol na allah kyun dar mein rakha hai

dhoondhti vo rah gai khat paanv mein kal
khat kabootar bol na par mein rakha hai

dekh hansta hai meri tanhaa khamoshi
kaun sa jannat is ghar mein rakha hai

khauf ka maahol uske dil makaan mein
bhoot usne paal kar dar mein rakha hai

sher maare hain ghazal sab aag mein hai
aib ye tere suhan-var mein rakha hai

har haseena se rakhe hain rabt hamne
ishq sayyad ka nagar bhar mein rakha hai

देख उसका इश्क़ भी सर में रखा है
एक आसेब आज भी घर में रखा है

हम ज़मीं वाले रखे हैं दरमियाँ में
बोल ना अल्लाह क्यों डर में रखा है

ढूँढती वो रह गई ख़त पाँव में कल
ख़त, कबूतर बोल ना, पर में रखा है

देख हँसता है मेरी तन्हा ख़मोशी
कौन सा जिन्नात इस घर में रखा है

ख़ौफ़ का माहौल उसके दिल मकाँ में
भूत उसने पाल कर, दर में रखा है

शेर मारे हैं ग़ज़ल सब आग में है
ऐब ये तेरे सुख़न-वर में रखा है

हर हसीना से रखे हैं रब्त हमने
इश्क़ सय्यद का नगर भर में रखा है

  - Aves Sayyad

Aag Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aves Sayyad

As you were reading Shayari by Aves Sayyad

Similar Writers

our suggestion based on Aves Sayyad

Similar Moods

As you were reading Aag Shayari Shayari