hawaon ki zad mein likhe ja rahe hain | हवाओं की ज़द में लिखे जा रहे हैं - Aves Sayyad

hawaon ki zad mein likhe ja rahe hain
zameen chal rahi hai jiye ja rahe hain

bachaaye yahan kaise eimaan apna
ye kapde bhi dekho fate ja rahe hain

yahan pehle jaise vo jungle kahaan hai
gharo par se tinke chune ja rahe hain

kata ja raha gaav se jaise rasta
usi ki tarah hum kate ja rahe hain

tere baad ab vo diwali nahin hai
diye aankh mein ab chubhe ja rahe hain

hata jab na paaye zameen pair se to
zameen ko utha kar ude ja rahe hain

vo jisne bana kar deewana rakha hai
usi par ye paagal mare ja rahe hain

hamaara bhala ab vo ho bhi to kaise
humi kaan uske bhare ja rahe hain

numayaan hue aadhi raaton mein suraj
diye aankh ke sab bujhe ja rahe hain

bahut kuch jahaan mein hai likhne ko lekin
ghazal hijr par hi likhe ja rahe hain

teri bazm mein vo sukhun ab nahin hai
isee baat se dil dukhe ja rahe hain

bacha kuch nahin ab dikhaane ko sayyad
magar dekh phir bhi saje ja rahe hain

हवाओं की ज़द में लिखे जा रहे हैं
ज़मीं चल रही है जिए जा रहे हैं

बचाए यहाँ कैसे ईमान अपना
ये कपड़े भी देखो फटे जा रहे हैं

यहाँ पहले जैसे वो जंगल कहाँ है
घरों पर से तिनके चुने जा रहे हैं

कटा जा रहा गाँव से जैसे रस्ता
उसी की तरह हम कटे जा रहे हैं

तेरे बाद अब वो दिवाली नहीं है
दिए आँख में अब चुभे जा रहे हैं

हटा जब न पाए ज़मीं पैर से तो
ज़मीं को उठा कर उड़े जा रहे हैं

वो जिसने बना कर दिवाना रखा है
उसी पर ये पागल मरे जा रहे हैं

हमारा भला अब वो हो भी तो कैसे
हमी कान उसके भरे जा रहे हैं

नुमायाँ हुए आधी रातों में सूरज
दिए आँख के सब बुझे जा रहे हैं

बहुत कुछ जहाँ में है लिखने को लेकिन
ग़ज़ल हिज्र पर ही लिखे जा रहे हैं

तेरी बज़्म में वो सुख़न अब नहीं है
इसी बात से दिल दुखे जा रहे हैं

बचा कुछ नहीं अब दिखाने को सय्यद
मगर देख फिर भी सजे जा रहे हैं

- Aves Sayyad
3 Likes

Environment Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aves Sayyad

As you were reading Shayari by Aves Sayyad

Similar Writers

our suggestion based on Aves Sayyad

Similar Moods

As you were reading Environment Shayari Shayari