husn-o-jamaal aapki aankhon ka hai sanam | हुस्न-ओ-जमाल आपकी आँखों का है सनम

  - Aves Sayyad

husn-o-jamaal aapki aankhon ka hai sanam
ye maah-o-saal aapki aankhon ka hai sanam

ismein nahin hai shak koi ho aap be-gunaah
lekin sawaal aapki aankhon ka hai sanam

duniya mein kun se le ke qayamat talak jo hai
saara bawaal aapki aankhon ka hai sanam

hai jism ke bhi raaste yun to khule hue
hamko khayal aapki aankhon ka hai sanam

aise hi to na fenk di cigarette jali hui
kuchh to kamaal aapki aankhon ka hai sanam

jitne parinde taak pe azaad baithe hain
ye bhi nihaal aapki aankhon ka hai sanam

pa li hai hamne saare jahaan ki mohabbatein
hamko malaal aapki aankhon ka hai sanam

dhalne lage sitaare bhi palkon se saath saath
dekhen zawaal aapki aankhon ka hai sanam

sayyad nazar jhuka ke jo khaamosh pee gaye
aab-e-zulaal aapki aankhon ka hai sanam

हुस्न-ओ-जमाल आपकी आँखों का है सनम
ये माह-ओ-साल आपकी आँखों का है सनम

इसमें नहीं है शक कोई हो आप बे-गुनाह
लेकिन सवाल आपकी आँखों का है सनम

दुनिया में कुन से ले के क़यामत तलक जो है
सारा बवाल आपकी आँखों का है सनम

है जिस्म के भी रास्ते यूँ तो खुले हुए
हमको ख़याल आपकी आँखों का है सनम

ऐसे ही तो न फेंक दी सिगरेट जली हुई
कुछ तो कमाल आपकी आँखों का है सनम

जितने परिंदे ताक पे आज़ाद बैठे हैं
ये भी निहाल आपकी आँखों का है सनम

पा ली है हमनें सारे जहाँ की मुहब्बतें
हमको मलाल आपकी आँखों का है सनम

ढलने लगे सितारे भी पलकों से साथ साथ
देखें ज़वाल आपकी आँखों का है सनम

सय्यद नज़र झुका के जो ख़ामोश पी गए
आब-ए-ज़ुलाल आपकी आँखों का है सनम

  - Aves Sayyad

Rahbar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aves Sayyad

As you were reading Shayari by Aves Sayyad

Similar Writers

our suggestion based on Aves Sayyad

Similar Moods

As you were reading Rahbar Shayari Shayari