mohabbat mein jo dooba main to dil tujhko pukaara hai | मोहब्बत में जो डूबा मैं तो दिल तुझको पुकारा है

  - Aves Sayyad

mohabbat mein jo dooba main to dil tujhko pukaara hai
meri tooti hui kashti ka tu hi to sahaara hai

rakha khud ko yun sheeshe sa ki ibarat le sabhi mujhse
kisi aur pe na guzre vo jo bhi maine guzaara hai

lab uske hain gulaabon se phir us par ye khuli zulfen
ye umr apni bitaane ko haan kaafi ye nazaara hai

mar ab jaaye kahi ja kar kare kissse shikaayat ham
ye zaahil ye sitamgar bhi to aakhir ko hamaara hai

jo tanhaai ke tohfe hain sab uski hi badaulat hain
kitaabon ka jo parvat hai ye jo toota sitaara hai

lagaaya pehle seene se kaha ghabra kar usne phir
mujhe ruswa na kar dena yun to sab kuchh gawara hai

ajab meri muhabbat hai ajab meri ye qismat hai
mile jisse bhanwar mujhko wahi mera kinaara hai

ik aisa bhi safeena tha jo gharqaab-e-samandar tha
ik aisa bhi samandar hai safeene se utaara hai

tere tafseele paikar mein qaside hain kase maine
varq tere badan ka ye in aankhon ka sipaara hai

jise sabse chhupaaya hai jo is gham ka makeen bhi hai
wahi hai jaan sayyad ki wahi to sabse pyaara hai

मोहब्बत में जो डूबा मैं तो दिल तुझको पुकारा है
मेरी टूटी हुई कश्ती का तू ही तो सहारा है

रखा ख़ुद को यूँ शीशे सा कि इबरत ले सभी मुझसे
किसी और पे न गुज़रे वो जो भी मैंने गुज़ारा है

लब उसके हैं गुलाबों से फिर उस पर ये खुली जुल्फ़ें
ये उम्र अपनी बिताने को हाँ काफ़ी ये नज़ारा है

मर अब जाए कहीं जा कर करे किससे शिक़ायत हम
ये ज़ाहिल ये सितमगर भी तो आख़िर को हमारा है

जो तन्हाई के तोहफ़े हैं सब उसकी ही बदौलत हैं
किताबों का जो पर्वत है ये जो टूटा सितारा है

लगाया पहले सीने से कहा घबरा कर उसने फिर
मुझे रुसवा न कर देना यूँ तो सब कुछ गवारा है

अजब मेरी मुहब्बत है अजब मेरी ये क़िस्मत है
मिले जिससे भँवर मुझको वही मेरा किनारा है

इक ऐसा भी सफ़ीना था जो ग़र्क़ाब-ए-समंदर था
इक ऐसा भी समंदर है सफ़ीने से उतारा है

तेरे तफ़्सीले पैकर में क़सीदे हैं कसे मैंने
वरक़ तेरे बदन का ये इन आँखों का सिपारा है

जिसे सबसे छुपाया है जो इस ग़म का मकीं भी है
वही है जान सय्यद की वही तो सबसे प्यारा है

  - Aves Sayyad

Dard Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aves Sayyad

As you were reading Shayari by Aves Sayyad

Similar Writers

our suggestion based on Aves Sayyad

Similar Moods

As you were reading Dard Shayari Shayari