ishq kii jaageer dilbar ke siva kuchh bhi nahin | इश्क़ की जागीर दिलबर के सिवा कुछ भी नहीं

  - Aafreen Faheem

ishq kii jaageer dilbar ke siva kuchh bhi nahin
is wafa ke daam mein mujhko mila kuchh bhi nahin

ab bhi vo milta hai to pehchaan leta hai mujhe
dekhta rehta hai lekin bolta kuchh bhi nahin

dhoop kii kiranoon ne shab chehre pe bosa le liya
raat ko soi ki jaagi main pata kuchh bhi nahin

aabla-pa hoon tamannaon ke sehra mein magar
meri himmat ke liye ye aablaa kuchh bhi nahin

is dil-e-sadchaak ka ilzaam uske sar ho kyun
vo hai thoda bewafa is ke siva kuchh bhi nahin

इश्क़ की जागीर दिलबर के सिवा कुछ भी नहीं
इस वफ़ा के दाम में मुझको मिला कुछ भी नहीं

अब भी वो मिलता है तो पहचान लेता है मुझे
देखता रहता है लेकिन बोलता कुछ भी नहीं

धूप की किरणों ने शब चेहरे पे बोसा ले लिया
रात को सोई कि जागी मैं पता कुछ भी नहीं

आबला-पा हूँ तमन्नाओं के सहरा में मगर
मेरी हिम्मत के लिए ये आबला कुछ भी नहीं

इस दिल-ए-सदचाक का इल्ज़ाम उसके सर हो क्यूँ
वो है थोड़ा बेवफ़ा इस के सिवा कुछ भी नहीं

  - Aafreen Faheem

More by Aafreen Faheem

As you were reading Shayari by Aafreen Faheem

Similar Writers

our suggestion based on Aafreen Faheem

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari