ab dil bhi apne bhed humeen se chhupaaye hai | अब दिल भी अपने भेद हमीं से छुपाए है

  - Dharmesh bashar

ab dil bhi apne bhed humeen se chhupaaye hai
pooche koii ki kyun usi kaafir pe aaye hai

jab bhi tiri talash ko nikle bhatak gaye
hai koii raasta jo tire ghar ko jaaye hai

deewaangi-e-shauq ne kya haal kar diya
ab to nigaah-e-naaz bhi daaman bachaaye hai

ab khalvaton mein lutaf-e-tasavvur nahin raha
ab to khayaal-e-yaar bhi dar-dar ke aaye hai

ab sham'a intizaar kii ham to bujha chuke
dil phir bhi teri aas ke deepak jalaae hai

hai jaan iztiraab mein nabzein nidhaal hain
vo kaun hai jo door khada muskuraaye hai

ye zindagi to hamko kabhi kii bhula chuki
ab kya karein ki maut bhi aankhen churaaye hai

kya baat hai ki koii kisi ka nahin raha
ab to bashar ye shehar bhi peecha chhudaaye hai

अब दिल भी अपने भेद हमीं से छुपाए है
पूछे कोई कि क्यूँ उसी काफ़िर पे आए है

जब भी तिरी तलाश को निकले भटक गए
है कोई रास्ता जो तिरे घर को जाए है

दीवानगी-ए-शौक़ ने क्या हाल कर दिया
अब तो निगाह-ए-नाज़ भी दामन बचाए है

अब ख़ल्वतों में लुत्फ़-ए-तसव्वुर नहीं रहा
अब तो ख़याल-ए-यार भी डर-डर के आए है

अब शम'अ इंतिज़ार की हम तो बुझा चुके
दिल फिर भी तेरी आस के दीपक जलाए है

है जान इज़्तिराब में नब्ज़ें निढाल हैं
वो कौन है जो दूर खड़ा मुस्कुराए है

ये ज़िन्दगी तो हमको कभी की भुला चुकी
अब क्या करें कि मौत भी आँखें चुराए है

क्या बात है कि कोई किसी का नहीं रहा
अब तो 'बशर' ये शहर भी पीछा छुड़ाए है

  - Dharmesh bashar

More by Dharmesh bashar

As you were reading Shayari by Dharmesh bashar

Similar Writers

our suggestion based on Dharmesh bashar

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari