chaahat hamein ye dil kii jataane bhi deejie | चाहत हमें ये दिल की जताने भी दीजिए - Dharmesh bashar

chaahat hamein ye dil kii jataane bhi deejie
baaki fuzool baatein hain jaane bhi deejie

yaadon ke kaarwaan ko sajaane bhi deejie
tareekiyo mein dhoop ugaane bhi deejie

do gaj zameen naseeb ho ab rahne ke liye
ye kab kaha ki raaj gharaane bhi deejie

abke hui hai taari tamannaon par thakan
kuchh khwaab ab to hamko sajaane bhi deejie

baithe hue hain vo bhi isi intizaar mein
ab rokiye na hamko manaane bhi deejie

mayus ho ke jaaye na ghar se mere hawa
usko mere charaagh bujhaane bhi deejie

unke sitam hain kitne jafaon ka kya shumaar
ham kya bataayein chhodije jaane bhi deejie

kab se hai ye nigaah yun betaab-o-muntazir
parda jamaal ka ye uthaane bhi deejie

vo bhi to jaan jaayen ki kya shay hai la-ilaaj
charagaron ko zakhm dikhaane bhi deejie

dekha hai zindagi ka hunar umr bhar bashar
ab maut ko bhi dekh len aane bhi deejie

चाहत हमें ये दिल की जताने भी दीजिए
बाक़ी फ़ुज़ूल बातें हैं जाने भी दीजिए

यादों के कारवाँ को सजाने भी दीजिए
तारीकियों में धूप उगाने भी दीजिए

दो गज ज़मीं नसीब हो अब रहने के लिए
ये कब कहा कि राज घराने भी दीजिए

अबके हुई है तारी तमन्नाओं पर थकन
कुछ ख़्वाब अब तो हमको सजाने भी दीजिए

बैठे हुए हैं वो भी इसी इंतिज़ार में
अब रोकिए न हमको मनाने भी दीजिए

मायूस हो के जाए न घर से मिरे हवा
उसको मिरे चराग़ बुझाने भी दीजिए

उनके सितम हैं कितने जफ़ाओं का क्या शुमार
हम क्या बताएँ छोड़िए जाने भी दीजिए

कब से है ये निगाह यूँ बेताब-ओ-मुंतज़िर
पर्दा जमाल का ये उठाने भी दीजिए

वो भी तो जान जाएँ कि क्या शय है ला-इलाज
चारागरों को ज़ख़्म दिखाने भी दीजिए

देखा है ज़िन्दगी का हुनर उम्र भर 'बशर'
अब मौत को भी देख लें आने भी दीजिए

- Dharmesh bashar
5 Likes

More by Dharmesh bashar

As you were reading Shayari by Dharmesh bashar

Similar Writers

our suggestion based on Dharmesh bashar

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari