nazar mein hai raksaan sitaaron kii duniya | नज़र में है रक़्साँ सितारों की दुनिया

  - Dharmesh bashar

nazar mein hai raksaan sitaaron kii duniya
abhi tak wahi hai nazaaron kii duniya

ye zulfon ke baadal ye saanson kii khushboo
tira jism khud hai bahaaron kii duniya

nigaahen meri aaj bhi dhoondhti hain
vo masti mein doobi ishaaron kii duniya

bayaan kar raha hai safeene ka aalam
khamoshi mein doobi kinaaron kii duniya

na saaqi na saaghar na vo qahqahe hain
hai sunsaan ab mai-gusaaron kii duniya

jo bhatke ghamon ke andheron mein unka
sahaara bani maahpaaron kii duniya

na jeene kii khwaahish na marne ka armaan
ajab hai bashar jaan-nisaaron kii duniya

नज़र में है रक़्साँ सितारों की दुनिया
अभी तक वही है नज़ारों की दुनिया

ये ज़ुल्फ़ों के बादल ये साँसों की ख़ुशबू
तिरा जिस्म ख़ुद है बहारों की दुनिया

निगाहें मिरी आज भी ढूँढती हैं
वो मस्ती में डूबी इशारों की दुनिया

बयाँ कर रहा है सफ़ीने का आलम
ख़मोशी में डूबी किनारों की दुनिया

न साक़ी न साग़र न वो क़हक़हे हैं
है सुनसान अब मय-गुसारों की दुनिया

जो भटके ग़मों के अँधेरों में उनका
सहारा बनी माहपारों की दुनिया

न जीने की ख़्वाहिश न मरने का अरमाँ
अजब है 'बशर' जाँ-निसारों की दुनिया

  - Dharmesh bashar

More by Dharmesh bashar

As you were reading Shayari by Dharmesh bashar

Similar Writers

our suggestion based on Dharmesh bashar

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari