jaane kaisa dil-e-maayus mein dar baith gaya | जाने कैसा दिल-ए-मायूस में डर बैठ गया - Dharmesh bashar

jaane kaisa dil-e-maayus mein dar baith gaya
jo tha ladne ko badha thaam ke sar baith gaya

naatvaan dil hai mera khud ko sambhaale kab tak
baar-e-gham jab bhi badha zer-e-asar baith gaya

le liya maine bhi yun tere sitam ka badla
mere in ashkon se zalim tira ghar baith gaya

usko dil mein hi basaaya hai ladunga se bahut
kis qareene se angoothi mein guhar baith gaya

zid ana kii thi meri ya ki thi qismat aisi
us taraf bant rahe moti main idhar baith gaya

kuchh na mil paaya muhabbat mein riyaakaaron ko
jiski buniyaad thi kamzor vo ghar baith gaya

yun to main azm ke ghode ko hoon daudaane chala
par ye dar bhi hai ki kya hoga agar baith gaya

be-adab bazm mein usne tha maduu mujhko kiya
dil to bilkul bhi na tha mera magar baith gaya

sarfaroshi ka junoon tha ki thi ye jaanbaazi
ja ke maqtal mein vo be-khauf-o-khatr baith gaya

hamne dhalti hue suraj ko jo dekha to laga
jaise thak kar koii duraan-e-safar baith gaya

ab karoon kaise main manzil ke na milne ka gila
dekh kar chaanv sar-e-raah bashar baith gaya

जाने कैसा दिल-ए-मायूस में डर बैठ गया
जो था लड़ने को बढ़ा थाम के सर बैठ गया

नातवाँ दिल है मिरा ख़ुद को सँभाले कब तक
बार-ए-ग़म जब भी बढ़ा ज़ेर-ए-असर बैठ गया

ले लिया मैंने भी यूँ तेरे सितम का बदला
मेरे इन अश्कों से ज़ालिम तिरा घर बैठ गया

उसको दिल में ही बसाया है नफ़ासत से बहुत
किस क़रीने से अँगूठी में गुहर बैठ गया

ज़िद अना की थी मिरी या कि थी क़िस्मत ऐसी
उस तरफ़ बँट रहे मोती मैं इधर बैठ गया

कुछ न मिल पाया मुहब्बत में रियाकारों को
जिसकी बुनियाद थी कमज़ोर वो घर बैठ गया

यूँ तो मैं अज़्म के घोड़े को हूँ दौड़ाने चला
पर ये डर भी है कि क्या होगा अगर बैठ गया

बे-अदब बज़्म में उसने था मदू मुझको किया
दिल तो बिलकुल भी न था मेरा मगर बैठ गया

सरफ़रोशी का जुनूँ था कि थी ये जाँबाज़ी
जा के मक़्तल में वो बे-ख़ौफ़-ओ-ख़तर बैठ गया

हमने ढलते हुए सूरज को जो देखा तो लगा
जैसे थक कर कोई दौरान-ए-सफ़र बैठ गया

अब करूँ कैसे मैं मंज़िल के न मिलने का गिला
देख कर छाँव सर-ए-राह 'बशर' बैठ गया

- Dharmesh bashar
3 Likes

More by Dharmesh bashar

As you were reading Shayari by Dharmesh bashar

Similar Writers

our suggestion based on Dharmesh bashar

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari