barabar uske qad ke ab mera qad ho nahin saktaa
vo tulsi ho nahin saktaa main bargad ho nahin saktaa
mita de laangh jaaye ya ki uska atikraman kar le
main aisi koii bhi kamzor sarhad ho nahin saktaa
jama kar apne pairo'n ko chunauti deni padti hai
koii baisaakhiyon ke dam pe angad ho nahin saktaa
kusum haathon mein uske aur baghal mein ho chhuri to phir
faqat sammaan karna uska maqsad ho nahin saktaa
khushi ka arth kya jaane vo man kii shaanti kya jaane
wihanstaa dekh bachchon ko jo bargad ho nahin saktaa
bashar hai kitna gahra fark dono ke mizaajon mein
vo ab sat ho nahin saktaa main ab bad ho nahin saktaa
बराबर उसके क़द के अब मिरा क़द हो नहीं सकता
वो तुलसी हो नहीं सकता मैं बरगद हो नहीं सकता
मिटा दे लाँघ जाए या कि उसका अतिक्रमण कर ले
मैं ऐसी कोई भी कमज़ोर सरहद हो नहीं सकता
जमा कर अपने पैरों को चुनौती देनी पड़ती है
कोई बैसाखियों के दम पे अंगद हो नहीं सकता
कुसुम हाथों में उसके और बग़ल में हो छुरी तो फिर
फ़क़त सम्मान करना उसका मक़सद हो नहीं सकता
ख़ुशी का अर्थ क्या जाने वो मन की शांति क्या जाने
विहँसता देख बच्चों को जो बरगद हो नहीं सकता
'बशर' है कितना गहरा फ़र्क दोनों के मिज़ाजों में
वो अब सत हो नहीं सकता मैं अब बद हो नहीं सकता
As you were reading Shayari by Dharmesh bashar
our suggestion based on Dharmesh bashar
As you were reading undefined Shayari