kisi ka waqt yun ta-zindagi yaksaan nahin hota
ki suraj bhi to din bhar ek sa taabaan nahin hota
musalsal sakht raahon se guzarna aur gum hona
samandar tak ye dariya ka safar aasaan nahin hota
ho mausam koii bhi zakhamon ke gul khilte hi rahte hain
muhabbat mein chaman dil ka kabhi veeraan nahin hota
yahan aate hain gham to mustaqil rahne ko aate hain
mere dil ke shabistaan mein koii mehmaan nahin hota
faqat ik silsila hai aansuon ka aur aahon ka
hamaari dastaanon ka koii unwaan nahin hota
ye kya kam hai mujhe in aafaton ne bakhsh di himmat
hawaaein gar na hon to phir bashar toofaan nahin hota
किसी का वक़्त यूँ ता-ज़िन्दगी यकसाँ नहीं होता
कि सूरज भी तो दिन भर एक सा ताबाँ नहीं होता
मुसलसल सख़्त राहों से गुज़रना और गुम होना
समंदर तक ये दरिया का सफ़र आसाँ नहीं होता
हो मौसम कोई भी ज़ख़्मों के गुल खिलते ही रहते हैं
मुहब्बत में चमन दिल का कभी वीराँ नहीं होता
यहाँ आते हैं ग़म तो मुस्तक़िल रहने को आते हैं
मिरे दिल के शबिस्ताँ में कोई मेहमाँ नहीं होता
फ़क़त इक सिलसिला है आँसुओं का और आहों का
हमारी दास्तानों का कोई उन्वाँ नहीं होता
ये क्या कम है मुझे इन आफ़तों ने बख़्श दी हिम्मत
हवाएँ गर न हों तो फिर 'बशर' तूफ़ाँ नहीं होता
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Dharmesh bashar
our suggestion based on Dharmesh bashar
As you were reading Musafir Shayari Shayari