hamaare sar se kuchh aise bhi imtihaan guzare | हमारे सर से कुछ ऐसे भी इम्तिहाँ गुज़रे - Dharmesh bashar

hamaare sar se kuchh aise bhi imtihaan guzare
hamein khud apni haqeeqat pe sau gumaan guzare

ham is jahaan mein thehre to la-makaan ban kar
ham is jahaan se guzare to be-nishaan guzare

tumhaari yaad ke nashtar chale jo seene par
to meri raat bhala kaise jaan-e-jaan guzare

tiri gali se jo guzare to is tarah goya
saleeb uthaaye hue koii neem-jaan guzare

bas ik zameen na mili raah-e-shauq mein warna
hamaare paas se kitne hi aasmaan guzare

haram na dair salaamat na may-kada mahfooz
jo ku-e-yaar se guzare to be-amaan guzare

mahaaz-e-ishq mein kya kya na dekha hamne sanam
hamaare peshe-e-nazar lashkar-e-giraan guzare

kuchh aise zakhm hain jinki hamein tavakko thi
kuchh aise zakhm hain jo ham pe na-gahaan guzare

raah-e-qaraar mein kaise naseeb ho manzil
qadam bashar ke safar mein yahan wahan guzare

dua bashar kii hai itni ki uski har saa'at
nazar-navaaz haseenon ke darmiyaan guzare

हमारे सर से कुछ ऐसे भी इम्तिहाँ गुज़रे
हमें ख़ुद अपनी हक़ीक़त पे सौ गुमाँ गुज़रे

हम इस जहान में ठहरे तो ला-मकाँ बन कर
हम इस जहान से गुज़रे तो बे-निशाँ गुज़रे

तुम्हारी याद के नश्तर चले जो सीने पर
तो मेरी रात भला कैसे जान-ए-जाँ गुज़रे

तिरी गली से जो गुज़रे तो इस तरह गोया
सलीब उठाए हुए कोई नीम-जाँ गुज़रे

बस इक ज़मीं न मिली राह-ए-शौक़ में वर्ना
हमारे पास से कितने ही आसमाँ गुज़रे

हरम न दैर सलामत न मय-कदा महफ़ूज़
जो कू-ए-यार से गुज़रे तो बे-अमाँ गुज़रे

महाज़-ए-इश्क़ में क्या क्या न देखा हमने सनम
हमारे पेश-ए-नज़र लश्कर-ए-गिराँ गुज़रे

कुछ ऐसे ज़ख़्म हैं जिनकी हमें तवक़्क़ो थी
कुछ ऐसे ज़ख़्म हैं जो हम पे ना-गहाँ गुज़रे

रह-ए-क़रार में कैसे नसीब हो मंज़िल
क़दम बशर के सफ़र में यहाँ वहाँ गुज़रे

दुआ 'बशर' की है इतनी कि उसकी हर सा'अत
नज़र-नवाज़ हसीनों के दरमियाँ गुज़रे

- Dharmesh bashar
4 Likes

More by Dharmesh bashar

As you were reading Shayari by Dharmesh bashar

Similar Writers

our suggestion based on Dharmesh bashar

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari