qaateel nahin lagta ki maseeha nahin lagta | क़ातिल नहीं लगता कि मसीहा नहीं लगता - Dharmesh bashar

qaateel nahin lagta ki maseeha nahin lagta
insaaf se kahiye vo bhala kya nahin lagta

jab aankh mein jhaaken to kuchh apna sa lage hai
jab dil ko tatolen to phir apna nahin lagta

guftaar ko dekhen to hamaari hi tarah hai
kirdaar ko dekhen to yahan ka nahin lagta

ghairon se uljhana to zamaane kii hawa hai
apnon se uljhana use zeba nahin lagta

kehne ko to yaa husn ke paikar hain hazaaron
par inmein koii bhi tire jaisa nahin lagta

is anjuman-e-kaif mein aashiq bhi bahut hain
par inmein koii aashiq-e-yaktaa nahin lagta

vo shaair-e-gulnaam jo guzra hai idhar se
is shehar mein uska koii apna nahin lagta

kya sach mein muayyan hai bashar maut ka ik din
ghalib se kaho hamko to aisa nahin lagta

ab vo bhi dil-aawez-o-dill-aaram nahin hain
aur phir bhi bashar soz-e-tamanna nahin lagta

क़ातिल नहीं लगता कि मसीहा नहीं लगता
इंसाफ़ से कहिए वो भला क्या नहीं लगता

जब आँख में झाँकें तो कुछ अपना सा लगे है
जब दिल को टटोलें तो फिर अपना नहीं लगता

गुफ़्तार को देखें तो हमारी ही तरह है
किरदार को देखें तो यहाँ का नहीं लगता

ग़ैरों से उलझना तो ज़माने की हवा है
अपनों से उलझना उसे ज़ेबा नहीं लगता

कहने को तो याँ हुस्न के पैकर हैं हज़ारों
पर इनमें कोई भी तिरे जैसा नहीं लगता

इस अंजुमन-ए-कैफ़ में आशिक़ भी बहुत हैं
पर इनमें कोई आशिक़-ए-यक्ता नहीं लगता

वो शाइर-ए-गुमनाम जो गुज़रा है इधर से
इस शहर में उसका कोई अपना नहीं लगता

क्या सच में मुअय्यन है 'बशर' मौत का इक दिन
ग़ालिब से कहो हमको तो ऐसा नहीं लगता

अब वो भी दिल-आवेज़-ओ-दिल-आराम नहीं हैं
और फिर भी 'बशर' सोज़-ए-तमन्ना नहीं लगता

- Dharmesh bashar
6 Likes

More by Dharmesh bashar

As you were reading Shayari by Dharmesh bashar

Similar Writers

our suggestion based on Dharmesh bashar

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari