hai buland uska hi naam bewafaon mein | है बुलंद उसका ही नाम बेवफ़ाओं में

  - Bhuwan Singh

hai buland uska hi naam bewafaon mein
isliye gina jaata hai use balaaon mein

andha hona laazim tha main tha hi mohabbat mein
roz leta tha uska naam apsaraon mein

zakhm aaj bhi mere theek ho nahin paaye
zahar hi milaata tha vo meri davaaon mein

roz uske hi khaatir kyoon karoon duaaein main
jab kasar nahin chhodi usne bad-duaaon mein

uski yaad se itna door aa gaya hoon main
ab to bas khuda dikhta hai sabhi dishaon mein

mere khet kii khushboo mujh talak nahin aati
kuchh to baat hai yaaro shehar kii hawaon mein

jaane kiske kehne par kaat lenge apni nas
socho kitna dar hoga aashiqon kii maon mein

है बुलंद उसका ही नाम बेवफ़ाओं में
इसलिए गिना जाता है उसे बलाओं में

अंधा होना लाज़िम था मैं था ही मोहब्बत में
रोज़ लेता था उसका नाम अप्सराओं में

ज़ख़्म आज भी मेरे ठीक हो नहीं पाए
ज़हर ही मिलाता था वो मिरी दवाओं में

रोज़ उसके ही ख़ातिर क्यूॅं करूँ दुआएँ मैं
जब कसर नहीं छोड़ी उसने बद-दुआओं में

उसकी याद से इतना दूर आ गया हूॅं मैं
अब तो बस ख़ुदा दिखता है सभी दिशाओं में

मेरे खेत की ख़ुशबू मुझ तलक नहीं आती
कुछ तो बात है यारो शहर की हवाओं में

जाने किसके कहने पर काट लेंगे अपनी नस
सोचो कितना डर होगा आशिक़ों की माओं में

  - Bhuwan Singh

More by Bhuwan Singh

As you were reading Shayari by Bhuwan Singh

Similar Writers

our suggestion based on Bhuwan Singh

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari