koii nazar ho thaharti hai ek pal ke liye | कोई नज़र हो ठहरती है एक पल के लिए

  - divya 'sabaa'

koii nazar ho thaharti hai ek pal ke liye
mere badan mein koii baat hai ghazal ke liye

main chahti hoon tujhe aaj khoob pyaar karoon
koii to yaad bacha loon main apne kal ke liye

kisi bhi tarah sitaare zameen pe le aaun
main gham-zada hoon isi pyaar ke mahal ke liye

tumhaare ishq ne saari khushi mujhe di aur
ye intiqaam bhi pahluu badal badal ke liye

sawaal-e-kaif pe sab may-gusaar haathon ne
sharaab-e-gham ke piyaale sambhal sambhal ke liye

main khwahishon ka samandar na paar kar paai
khada tha ek farishta meri ghazal ke liye

khushi se jee le saba gham ka saamna kar le
yahi hai tarz-e-amal ab tire amal ke liye

कोई नज़र हो ठहरती है एक पल के लिए
मिरे बदन में कोई बात है ग़ज़ल के लिए

मैं चाहती हूँ तुझे आज ख़ूब प्यार करूँ
कोई तो याद बचा लूँ मैं अपने कल के लिए

किसी भी तरह सितारे ज़मीं पे ले आऊँ
मैं ग़म-ज़दा हूँ इसी प्यार के महल के लिए

तुम्हारे इश्क़ ने सारी ख़ुशी मुझे दी, और
ये इंतिक़ाम भी पहलू बदल बदल के लिए

सवाल-ए-कैफ़ पे सब मय-गुसार हाथों ने
शराब-ए-ग़म के पियाले सँभल सँभल के लिए

मैं ख़्वाहिशों का समन्दर न पार कर पाई
खड़ा था एक फ़रिश्ता मिरी ग़ज़ल के लिए

ख़ुशी से जी ले 'सबा' ग़म का सामना कर ले
यही है तर्ज़-ए-अमल अब तिरे अमल के लिए

  - divya 'sabaa'

More by divya 'sabaa'

As you were reading Shayari by divya 'sabaa'

Similar Writers

our suggestion based on divya 'sabaa'

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari