kya fikr jo dushman hain mere yaar ghazal ke | क्या फ़िक्र जो दुश्मन हैं मिरे यार ग़ज़ल के

  - divya 'sabaa'

kya fikr jo dushman hain mere yaar ghazal ke
maddaah bhi mil jaayenge do-chaar ghazal ke

toofaan ho seene mein magar lab pe khamoshi
hazaaraat yahi hote hain aasaar ghazal ke

duniya kii inaayat ho ki ho teri nawaazish
khaali nahin jaate hain kabhi vaar ghazal ke

alfaaz ke alfaaz muaani ke muaani
hoshiyaar bade hote hain fankaar ghazal ke

sau baar ye socha ki bas ab nazm kahenge
chakkar mein magar aa gaye har baar ghazal ke

bazaar mein har shakhs qaside ka talab-gaar
ham hain ki liye firte hain ashaar ghazal ke

क्या फ़िक्र जो दुश्मन हैं मिरे यार ग़ज़ल के
मद्दाह भी मिल जाएँगे दो-चार ग़ज़ल के

तूफ़ान हो सीने में मगर लब पे ख़मोशी
हज़रात यही होते हैं आसार ग़ज़ल के

दुनिया की इनायत हो कि हो तेरी नवाज़िश
ख़ाली नहीं जाते हैं कभी वार ग़ज़ल के

अल्फ़ाज़ के अल्फ़ाज़ मुआनी के मुआनी
होशियार बड़े होते हैं फ़नकार ग़ज़ल के

सौ बार ये सोचा कि बस अब नज़्म कहेंगे
चक्कर में मगर आ गए हर बार ग़ज़ल के

बाज़ार में हर शख़्स क़सीदे का तलब-गार
हम हैं कि लिए फिरते हैं अशआर ग़ज़ल के

  - divya 'sabaa'

More by divya 'sabaa'

As you were reading Shayari by divya 'sabaa'

Similar Writers

our suggestion based on divya 'sabaa'

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari