kahaan to tay tha charaaghaan har ek ghar ke liye | कहाँ तो तय था चराग़ाँ हर एक घर के लिए

  - Dushyant Kumar

kahaan to tay tha charaaghaan har ek ghar ke liye
kahaan charaagh mayassar nahin shehar ke liye

yahan darakhton ke saaye mein dhoop lagti hai
chalen yahan se chalen aur umr bhar ke liye

na ho qameez to paanv se pet dhak lenge
ye log kitne munaasib hain is safar ke liye

khuda nahin na sahi aadmi ka khwaab sahi
koi haseen nazaara to hai nazar ke liye

vo mutmain hain ki patthar pighal nahin saka
main beqaraar hoon awaaz mein asar ke liye

jiein to apne baghicha mein gulmuhar ke tale
maren to gair ki galiyon mein gulmuhar ke liye

कहाँ तो तय था चराग़ाँ हर एक घर के लिए
कहाँ चराग़ मयस्सर नहीं शहर के लिए

यहाँ दरख़्तों के साए में धूप लगती है
चलें यहाँ से चलें और उम्र भर के लिए

न हो क़मीज़ तो पाँव से पेट ढक लेंगे
ये लोग कितने मुनासिब हैं इस सफ़र के लिए

ख़ुदा नहीं न सही आदमी का ख़्वाब सही
कोई हसीन नज़ारा तो है नज़र के लिए

वो मुतमइन हैं कि पत्थर पिघल नहीं सकता
मैं बेक़रार हूँ आवाज़ में असर के लिए

जिएँ तो अपने बग़ैचा में गुलमुहर के तले
मरें तो ग़ैर की गलियों में गुलमुहर के लिए

  - Dushyant Kumar

Insaan Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dushyant Kumar

As you were reading Shayari by Dushyant Kumar

Similar Writers

our suggestion based on Dushyant Kumar

Similar Moods

As you were reading Insaan Shayari Shayari