hone lagi hai jism mein jumbish to dekhiye
is par kate parinde ki koshish to dekhiye
goonge nikal pade hain zabaan ki talash mein
sarkaar ke khilaaf ye saazish to dekhiye
barsaat aa gai to darkane lagi zameen
sookha macha rahi hai ye baarish to dekhiye
un ki apeel hai ki unhen ham madad karein
chaakoo ki pasliyon se guzarish to dekhiye
jis ne nazar uthaai wahi shakhs gum hua
is jism ke tilism ki bandish to dekhiye
होने लगी है जिस्म में जुम्बिश तो देखिए
इस पर कटे परिंदे की कोशिश तो देखिए
गूँगे निकल पड़े हैं ज़बाँ की तलाश में
सरकार के ख़िलाफ़ ये साज़िश तो देखिए
बरसात आ गई तो दरकने लगी ज़मीन
सूखा मचा रही है ये बारिश तो देखिए
उन की अपील है कि उन्हें हम मदद करें
चाक़ू की पसलियों से गुज़ारिश तो देखिए
जिस ने नज़र उठाई वही शख़्स गुम हुआ
इस जिस्म के तिलिस्म की बंदिश तो देखिए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Dushyant Kumar
our suggestion based on Dushyant Kumar
As you were reading Badan Shayari Shayari