roz jab raat ko baarah ka gajr hota hai
yaatanaaon ke andhere mein safar hota hai
koi rahne ki jagah hai mere sapnon ke liye
vo gharaunda hi sahi mitti ka bhi ghar hota hai
sir se seene mein kabhi pet se paanv mein kabhi
ik jagah ho to kahein dard idhar hota hai
aisa lagta hai ki ud kar bhi kahaan pahunchege
haath mein jab koi toota hua par hota hai
sair ke vaaste sadkon pe nikal aate the
ab to aakaash se pathraav ka dar hota hai
रोज़ जब रात को बारह का गजर होता है
यातनाओं के अँधेरे में सफ़र होता है
कोई रहने की जगह है मिरे सपनों के लिए
वो घरौंदा ही सही मिट्टी का भी घर होता है
सिर से सीने में कभी पेट से पाँव में कभी
इक जगह हो तो कहें दर्द इधर होता है
ऐसा लगता है कि उड़ कर भी कहाँ पहुँचेंगे
हाथ में जब कोई टूटा हुआ पर होता है
सैर के वास्ते सड़कों पे निकल आते थे
अब तो आकाश से पथराव का डर होता है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Dushyant Kumar
our suggestion based on Dushyant Kumar
As you were reading Safar Shayari Shayari