ye jo baahar khuda se dar rahe hain | ये जो बाहर ख़ुदा से डर रहे हैं

  - Fahmi Badayuni

ye jo baahar khuda se dar rahe hain
bahut kuchh dil ke andar kar rahe hain

abhi dekha hai kuchh tv mein shaayad
mere bacche mujhi se dar rahe hain

iraada hai mera ghar bechne ka
padosi khoob khaatir kar rahe hain

yahan par koii dariyaadil nahin hai
sab apne ghar ka paani bhar rahe hain

tiri khushboo se jo waqif nahin hain
vo phoolon se guzaara kar rahe hain

nikal aaye to phir rone na denge
ham apne aansuon se dar rahe hain

tahalte phir rahe hain saare ghar mein
tiri khaali jagah ko bhar rahe hain

ये जो बाहर ख़ुदा से डर रहे हैं
बहुत कुछ दिल के अन्दर कर रहे हैं

अभी देखा है कुछ टीवी में शायद
मिरे बच्चे मुझी से डर रहे हैं

इरादा है मिरा घर बेचने का
पड़ोसी ख़ूब ख़ातिर कर रहे हैं

यहाँ पर कोई दरिया-दिल नहीं है
सब अपने घर का पानी भर रहे हैं

तिरी ख़ुश्बू से जो वाक़िफ़ नहीं हैं
वो फूलों से गुज़ारा कर रहे हैं

निकल आए तो फिर रोने न देंगे
हम अपने आँसुओं से डर रहे हैं

टहलते फिर रहे हैं सारे घर में
तिरी ख़ाली जगह को भर रहे हैं

  - Fahmi Badayuni

More by Fahmi Badayuni

As you were reading Shayari by Fahmi Badayuni

Similar Writers

our suggestion based on Fahmi Badayuni

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari