aapka hukm tha sarkaar nahin hone diya
khud ko duniya ka talabgaar nahin hone diya
aire-ghaire ko thehrne kii ijaazat nahin di
dil ko dil rakkha hai bazaar nahin hone diya
maine shohrat ke liye minnat-e-duniya nahin kii
is qadar zehan ko beemaar nahin hone diya
varna ye ishq suhoolat se kahaan hona tha
ek paagal ne samajhdaar nahin hone diya
she'r kehne kii talab ne mujhe tode rakkha
aur isi shauq ne mismar nahin hone diya
tu faqeeron ke kisi kaam ka pehle hi nahin
isliye bhi tujhe bekar nahin hone diya
maine us shakhs ko kya dil se utaara aamī
phir qabeele ne bhi sardaar nahin hone diya
आपका हुक्म था सरकार नहीं होने दिया
ख़ुद को दुनिया का तलबगार नहीं होने दिया
ऐरे-ग़ैरे को ठहरने की इजाज़त नहीं दी
दिल को दिल रक्खा है बाज़ार नहीं होने दिया
मैंने शोहरत के लिए मिन्नत-ए-दुनिया नहीं की
इस क़दर ज़ेहन को बीमार नहीं होने दिया
वरना ये इश्क़ सुहूलत से कहाँ होना था
एक पागल ने समझदार नहीं होने दिया
शे'र कहने की तलब ने मुझे तोड़े रक्खा
और इसी शौक़ ने मिसमार नहीं होने दिया
तू फ़क़ीरों के किसी काम का पहले ही नहीं
इसलिए भी तुझे बेकार नहीं होने दिया
मैंने उस शख़्स को क्या दिल से उतारा 'आमी'
फिर क़बीले ने भी सरदार नहीं होने दिया
As you were reading Shayari by Imran Aami
our suggestion based on Imran Aami
As you were reading undefined Shayari