sadak ke dono taraf camera laga ke mujhe
ye kaun dhoondhta firta hai ab ganwa ke mujhe
bata tu doon tujhe lekin bayaan se baahar hai
jo baat usne bataai nahin bata ke mujhe
ye baat mujh ko bhi maaloom thi magar chup tha
vo ro rahi thi kisi ko gale laga ke mujhe
bata ki tune bhi un se sabq liya ki nahin
ye to jo qisse sunaata hai karbala ke mujhe
agar ye sach hai mera aur khuda ka mas'ala hai
to pesh kijie phir saamne khuda ke mujhe
ye inkishaaf bhi taftish mein hua aamī
kisi ko todne waali thi vo bana ke mujhe
सड़क के दोनों तरफ़ कैमरे लगा के मुझे
ये कौन ढूँढता फिरता है अब गँवा के मुझे
बता तू दूँ तुझे लेकिन बयाँ से बाहर है
जो बात उसने बताई नहीं बता के मुझे
ये बात मुझ को भी मालूम थी मगर चुप था
वो रो रही थी किसी को गले लगा के मुझे
बता कि तूने भी उन से सबक़ लिया कि नहीं
ये तो जो क़िस्से सुनाता है कर्बला के मुझे
अगर ये सच है मिरा और ख़ुदा का मसअला है
तो पेश कीजिए फिर सामने ख़ुदा के मुझे
ये इंकिशाफ़ भी तफ़तीश में हुआ 'आमी'
किसी को तोड़ने वाली थी वो बना के मुझे
As you were reading Shayari by Imran Aami
our suggestion based on Imran Aami
As you were reading undefined Shayari