koii pooche khuda ke bandon se
kya mila jang lad ke bachchon se
harf-e-aakhir yahi kahoon main
jeet sakte the jang lafzon se
main to mahv-e-khayaal-e-yaar hoon ab
ma'zarat chahta hoon logon se
itne laahaq hain khair-khwah mere
dil pareshaan hai khair-khwaaho se
bhaari-bharkam main lafz rakhta hoon
jeetna hai mujhe adeebon se
sar pe yaadon ka ik asaasa hai
bhar gaye paanv mere chhaalon se
izzat-e-nafs taak par rakh kar
main guzarta hoon uski galiyon se
de ke zakhm-e-dil-o-namak yaaron
haal vo poochta hai apnon se
haal-e-dil aath june se ab tak
mubtala hai sharaab-gaahon se
कोई पूछे ख़ुदा के बंदों से
क्या मिला जंग लड़ के बच्चों से
हर्फ़-ए-आख़िर यही कहूॅंगा मैं
जीत सकते थे जंग लफ़्ज़ों से
मैं तो महव-ए-ख़याल-ए-यार हूॅं अब
मा'ज़रत चाहता हूॅं लोगों से
इतने लाहक़ हैं ख़ैर-ख़्वाह मिरे
दिल परेशाँ है ख़ैर-ख़्वाहों से
भारी-भरकम मैं लफ़्ज़ रखता हूॅं
जीतना है मुझे अदीबों से
सर पे यादों का इक असासा है
भर गए पाँव मेरे छालों से
इज़्ज़त-ए-नफ़्स ताक पर रख कर
मैं गुज़रता हूॅं उसकी गलियों से
दे के ज़ख़्म-ए-दिल-ओ-नमक यारों
हाल वो पूछता है अपनों से
हाल-ए-दिल आठ 'जून' से अब तक
मुब्तला है शराब-गाहों से
As you were reading Shayari by June Sahab
our suggestion based on June Sahab
As you were reading undefined Shayari