manzarakashi mein aankh se manzar nikal gaya
ik haadsa jo haath se baahar nikal gaya
duniya se koodkar main tere paas aaya tha
afsos tu bhi duniya ke andar nikal gaya
muddat ke baad ghar kii taraf lautna hua
dekha to jaana ghar se mere ghar nikal gaya
bachchon ko shehar bhejne kii baat aayi to
maa ke gale se aqd ka zewar nikal gaya
aise bhi meri jeet hui haarte hue
waahid khada tha jang mein lashkar nikal gaya
main shehar mein do paisa kamaane ko nikla tha
tab tak vo shakhs gair ka bankar nikal gaya
kaaghaz pe ek teer tha dil cheerata hua
dil ko tasalli thi ki ye khanjar nikal gaya
tahzeeb thi adab bhi tha us waqt aur aaj
bachchon ke dil se baap ka bhi dar nikal gaya
मंज़रकशी में आँख से मंज़र निकल गया
इक हादसा जो हाथ से बाहर निकल गया
दुनिया से कूदकर मैं तेरे पास आया था
अफ़सोस तू भी दुनिया के अंदर निकल गया
मुद्दत के बाद घर की तरफ़ लौटना हुआ
देखा तो जाना घर से मेरे घर निकल गया
बच्चों को शहर भेजने की बात आई तो
माँ के गले से अक़्द का ज़ेवर निकल गया
ऐसे भी मेरी जीत हुई हारते हुए
वाहिद खड़ा था जंग में लश्कर निकल गया
मैं शहर में दो पैसा कमाने को निकला था
तब तक वो शख़्स ग़ैर का बनकर निकल गया
काग़ज़ पे एक तीर था दिल चीरता हुआ
दिल को तसल्ली थी कि ये ख़ंजर निकल गया
तहज़ीब थी, अदब भी था उस वक़्त और आज
बच्चों के दिल से बाप का भी डर निकल गया
As you were reading Shayari by "Nadeem khan' Kaavish"
our suggestion based on "Nadeem khan' Kaavish"
As you were reading undefined Shayari