ab mera koii taalluq nahin bazaar ke saath | अब मिरा कोई तअल्लुक़ नहीं बाज़ार के साथ

  - Harsh Kumar

ab mera koii taalluq nahin bazaar ke saath
baat karta hoon main seedhe hi khareedaar ke saath

baat chhidne lagi hai jab se khizaan kii yaaro
log aane lage hain bazm mein gulzaar ke saath

din bataaya hai mujhe milne ka kal ka usne
bench par baitha hoon kab se main bhi izhaar ke saath

ye parkhne kii hi aadat pe fida ho gaya hoon
laati hai phool vo mere liye talwaar ke saath

अब मिरा कोई तअल्लुक़ नहीं बाज़ार के साथ
बात करता हूँ मैं सीधे ही ख़रीदार के साथ

बात छिड़ने लगी है जब से ख़िज़ाँ की यारो
लोग आने लगे हैं बज़्म में गुलज़ार के साथ

दिन बताया है मुझे मिलने का कल का उसने
बैंच पर बैठा हूँ कब से मैं भी इज़हार के साथ

ये परखने की ही आदत पे फ़िदा हो गया हूँ
लाती है फूल वो मेरे लिए तलवार के साथ

  - Harsh Kumar

More by Harsh Kumar

As you were reading Shayari by Harsh Kumar

Similar Writers

our suggestion based on Harsh Kumar

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari