dil khilta tha mera gulaabon kii tarah
toota pada hai ab to khwaabon kii tarah
uski talab aisi ki mitati hi nahin
vo lagti hai mujhko kitaabon kii tarah
ham usko samjhen bhi to kaise samjhen jo
chehra badalta hai naqaabon kii tarah
nagmon ke jaise main use sunta hoon jab
vo chhoota hai mujhko rabaabon kii tarah
दिल खिलता था मेरा गुलाबों की तरह
टूटा पड़ा है अब तो ख़्वाबों की तरह
उसकी तलब ऐसी कि मिटती ही नहीं
वो लगती है मुझको किताबों की तरह
हम उसको समझें भी तो कैसे समझें जो
चेहरा बदलता है नक़ाबों की तरह
नग़्मों के जैसे मैं उसे सुनता हूँ जब
वो छूता है मुझको रबाबों की तरह
As you were reading Shayari by Harsh Kumar Bhatnagar
our suggestion based on Harsh Kumar Bhatnagar
As you were reading undefined Shayari