hai tamannaa ye meri koii tamannaa na rahe
saans to chalti rahe aankh mein qatra na rahe
meri khwaahish hai ki imdaad mile sab ko yahan
ik dua aisi karoon koii bhi andha na rahe
baarha dekh magar saath mein aankhen bhi jhapak
baat bhi kar ki tujhe baad mein shikwa na rahe
dosti aisi ho ta-umr tujhe yaad rakhen
aur gar ishq ho to koii bhi parda na rahe
dil agar toote to phir dono ka aisa toote
main kisi ka na rahoon tu bhi kisi ka na rahe
है तमन्ना ये मिरी कोई तमन्ना न रहे
साँस तो चलती रहे आँख में क़तरा न रहे
मेरी ख़्वाहिश है कि इमदाद मिले सब को यहाँ
इक दुआ ऐसी करूँ कोई भी अंधा न रहे
बारहा देख मगर साथ में आँखें भी झपक
बात भी कर कि तुझे बाद में शिकवा न रहे
दोस्ती ऐसी हो ता-उम्र तुझे याद रखें
और गर इश्क़ हो तो कोई भी पर्दा न रहे
दिल अगर टूटे तो फिर दोनों का ऐसा टूटे
मैं किसी का न रहूँ तू भी किसी का न रहे
As you were reading Shayari by Harsh Kumar
our suggestion based on Harsh Kumar
As you were reading undefined Shayari