jab laga bikne main bazaar mein aasaani se
log jalne lage the meri darakhshaani se
fikr karne kii ye aadat se tiri darta hoon
main kahin oob na jaaun ye nigahbaani se
jab mere apne gawaahon. ne mujhe chhoda tha
dekhta rah gaya main khud ko hi hairaani se
जब लगा बिकने मैं बाज़ार में आसानी से
लोग जलने लगे थे मेरी दरख़्शानी से
फ़िक्र करने की ये आदत से तिरी डरता हूँ
मैं कहीं ऊब न जाऊँ ये निगहबानी से
जब मिरे अपने गवाहों ने मुझे छोड़ा था
देखता रह गया मैं ख़ुद को ही हैरानी से
As you were reading Shayari by Harsh Kumar
our suggestion based on Harsh Kumar
As you were reading undefined Shayari