kha raha hai tire baad ka dukh
ek shayar ko hai daad ka dukh
likh rakhi teri yaadon mein ghazlein
hai mujhe bas usi yaad ka dukh
ab to har baat sunni padegi
ik sasur ko hai daamaad ka dukh
haath sar se kahin uth na jaaye
chele ko ek ustaad ka dukh
maut maangi hai khwaahish mein usne
us khuda ko hai fariyaad ka dukh
खा रहा है तिरे बाद का दुख
एक शायर को है दाद का दुख
लिख रखी तेरी यादों में ग़ज़लें
है मुझे बस उसी याद का दुख
अब तो हर बात सुननी पड़ेगी
इक ससुर को है दामाद का दुख
हाथ सर से कहीं उठ न जाए
चेले को एक उस्ताद का दुख
मौत माँगी है ख़्वाहिश में उसने
उस ख़ुदा को है फ़रियाद का दुख
As you were reading Shayari by Harsh Kumar
our suggestion based on Harsh Kumar
As you were reading undefined Shayari