phir se kisi kii baaton mein aane laga hoon main
rishta munaafiqon se badhaane laga hoon main
ab tere laut aane kii ummeed bhi nahin
phir kyun hi apne ghar ko sajaane laga hoon main
main aam sa na lagne lagoo bheed mein kahin
is baar khud ka daam badhaane laga hoon main
main aaj bhi wahin hoon jahaan chhoda tha mujhe
mehfil mein ye kahaani sunaane laga hoon main
ye log chahte hain mujhe gham mein dekhna
kuchh isliye bhi ashk bahaane laga hoon main
फिर से किसी की बातों में आने लगा हूँ मैं
रिश्ता मुनाफ़िक़ों से बढ़ाने लगा हूँ मैं
अब तेरे लौट आने की उम्मीद भी नहीं
फिर क्यों ही अपने घर को सजाने लगा हूँ मैं
मैं आम सा न लगने लगूँ भीड़ में कहीं
इस बार ख़ुद का दाम बढ़ाने लगा हूँ मैं
मैं आज भी वहीं हूँ जहाँ छोड़ा था मुझे
महफ़िल में ये कहानी सुनाने लगा हूँ मैं
ये लोग चाहते हैं मुझे ग़म में देखना
कुछ इसलिए भी अश्क बहाने लगा हूँ मैं
As you were reading Shayari by Harsh Kumar Bhatnagar
our suggestion based on Harsh Kumar Bhatnagar
As you were reading undefined Shayari