yun to bhula chuka hoon magar intizaar hai
gar sach kahoon to aaj bhi tujhse hi pyaar hai
main chhod doonga tere liye sab ko par tu bhi
mujhko ye to bata ki tujhe etibaar hai
ab patriyon pe baith ke maaloom pad gaya
dil tootne pe rail ka kyun intizaar hai
kuchh is tarah ye ishq kii baazi main haara hoon
ab jeet bhi gaya to meri is mein haar hai
यूँ तो भुला चुका हूँ मगर इंतिज़ार है
गर सच कहूँ तो आज भी तुझसे ही प्यार है
मैं छोड़ दूँगा तेरे लिए सब को पर तू भी
मुझको ये तो बता कि तुझे एतिबार है
अब पटरियों पे बैठ के मालूम पड़ गया
दिल टूटने पे रेल का क्यों इंतिज़ार है
कुछ इस तरह ये इश्क़ की बाज़ी मैं हारा हूँ
अब जीत भी गया तो मिरी इस में हार है
As you were reading Shayari by Harsh Kumar Bhatnagar
our suggestion based on Harsh Kumar Bhatnagar
As you were reading undefined Shayari