ik adakaar jab nazar aata | इक अदाकार जब नज़र आता

  - Manohar Shimpi

ik adakaar jab nazar aata
bolne ka use hunar aata

tootaa hai agar kisi ka dil
ishq ka gham-zda nazar aata

ishq tab aashiqi dikhaaye hai
aankh mein noor jab utar aata

waqt gumraah bhi kare hai phir
pal nahin ye har ek par aata

jo sharaafat se pesh aaya hai
shakhs shaayad vo mere ghar aata

waqt bhi to gurez-paa hi hai
kaash beeta jo pal nazar aata


raaste mein bada koii ghar ho

us jagah se diya nazar aata

इक अदाकार जब नज़र आता
बोलने का उसे हुनर आता

टूटता है अगर किसी का दिल
इश्क़ का ग़म-ज़दा नज़र आता

इश्क़ तब आशिक़ी दिखाए है
आँख में नूर जब उतर आता

वक़्त गुमराह भी करे है फिर
पल नहीं ये हर एक पर आता

जो शराफ़त से पेश आया है
शख़्स शायद वो मेरे घर आता

वक़्त भी तो गुरेज़-पा ही है
काश बीता जो पल नज़र आता


रास्ते में बड़ा कोई घर हो

उस जगह से दिया नज़र आता

  - Manohar Shimpi

More by Manohar Shimpi

As you were reading Shayari by Manohar Shimpi

Similar Writers

our suggestion based on Manohar Shimpi

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari