itne kahaan hain mas'ale bolo bataane ke liye
khushiyaan bahut hain aur gham thode zamaane ke liye
mere khuda dushwaar kyun hota safar chalte hue
akshar bichhad jaate sabhi roti kamaane ke liye
milna hamein achha lage hain hijr mein milte tabhi
mayus har koii hua hai door jaane ke liye
kaise amar saare hue hain jang mein ladte hue
maqtal bade chhote kai hain jaan bachaane ke liye
kyun dost milte roothe ab to manohar kuchh kaho
rishta bada hai dosti ka hi nibhaane ke liye
इतने कहाँ हैं मस'अले बोलो बताने के लिए
ख़ुशियाँ बहुत हैं और ग़म थोड़े ज़माने के लिए
मेरे ख़ुदा दुश्वार क्यूँ होता सफ़र चलते हुए
अक्सर बिछड़ जाते सभी रोटी कमाने के लिए
मिलना हमें अच्छा लगे हैं हिज्र में मिलते तभी
मायूस हर कोई हुआ है दूर जाने के लिए
कैसे अमर सारे हुए हैं जंग में लड़ते हुए
मक़्तल बड़े छोटे कई हैं जाँ बचाने के लिए
क्यूँ दोस्त मिलते रूठते अब तो 'मनोहर' कुछ कहो
रिश्ता बड़ा है दोस्ती का ही निभाने के लिए
As you were reading Shayari by Manohar Shimpi
our suggestion based on Manohar Shimpi
As you were reading undefined Shayari