ghani zulfon se tere ho gai ye shaam ab kaise
tujhe phir dekh ke din mein karenge kaam ab kaise
mashqat se agar milti sahi mein kaamyaabi to
kise bhi koii phir kyun hi karein badnaam ab kaise
nigaahen kheench laaye jab lab-o-rukhsaar tak tere
sharaab-e-naab aankhen ho to phir jaam ab kaise
muhabbat ishq mein jab bhi bharosa tootaa to phir
kahenge ishq kii manzil hui neelaam ab kaise
dua maa-baap kii lo phir karo tum bandagi warna
milenge is jahaan mein hi hamein shri raam ab kaise
manohar zindagi ke is safar mein jo mile saathi
vo aahista hi aahista hue gumnaam ab kaise
घनी ज़ुल्फ़ों से तेरे हो गई ये शाम अब कैसे
तुझे फिर देख के दिन में करेंगे काम अब कैसे
मशक़्क़त से अगर मिलती सही में कामयाबी तो
किसे भी कोई फिर क्यों ही करें बदनाम अब कैसे
निगाहें खींच लाए जब लब-ओ-रुख़्सार तक तेरे
शराब-ए-नाब आँखें हो तो फिर जाम अब कैसे
मुहब्बत इश्क़ में जब भी भरोसा टूटता तो फिर
कहेंगे इश्क़ की मंजिल हुई नीलाम अब कैसे
दुआ माँ-बाप की लो फिर करो तुम बंदगी वर्ना
मिलेंगे इस जहाँ में ही हमें श्री राम अब कैसे
'मनोहर' ज़िंदगी के इस सफ़र में जो मिले साथी
वो आहिस्ता ही आहिस्ता हुए गुमनाम अब कैसे
As you were reading Shayari by Manohar Shimpi
our suggestion based on Manohar Shimpi
As you were reading undefined Shayari