zindagi kii bisaat hoon aakhir | ज़िंदगी की बिसात हूँ आख़िर - Manohar Shimpi

zindagi kii bisaat hoon aakhir
hai pata qa'inaat hoon aakhir

zulmat-e-shab kise bataaun main
haan qayamat kii raat hoon aakhir

zahar kyun phailta dil-o-dil mein
rosh kii ek baat hoon aakhir

bhookh hai pyaas jeetne kii hai
khel kii ik bisaat hoon aakhir

haadisa hi kahaan lage achha
kya kahoon waardaat hoon aakhir

koii bhi dafn kyun kare mujh ko
raaz kii khaas baat hoon aakhir

zikr jab raat ka manohar ho
chaandni chaand-raat hoon aakhir

ज़िंदगी की बिसात हूँ आख़िर
है पता क़ाइनात हूँ आख़िर

ज़ुल्मत-ए-शब किसे बताऊँ मैं
हाँ क़यामत की रात हूँ आख़िर

ज़हर क्यूँ फैलता दिल-ओ-दिल में
रोष की एक बात हूँ आख़िर

भूख है प्यास जीतने की है
खेल की इक बिसात हूँ आख़िर

हादिसा ही कहाँ लगे अच्छा
क्या कहूँ वारदात हूँ आख़िर

कोई भी दफ़्न क्यूँ करे मुझ को
राज़ की ख़ास बात हूँ आख़िर

ज़िक्र जब रात का 'मनोहर' हो
चाँदनी चाँद-रात हूँ आख़िर

- Manohar Shimpi
2 Likes

Jahar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Manohar Shimpi

As you were reading Shayari by Manohar Shimpi

Similar Writers

our suggestion based on Manohar Shimpi

Similar Moods

As you were reading Jahar Shayari Shayari