khoob saal-e-nau manana dost mil ke
ranjishen saari bhulaana dost mil ke
ek duniya doston kii bhi rahe hain
raaz dil ke phir bataana dost mil ke
koii qissa jo adhoora hi raha ho
yaad se sab ko sunaana dost mil ke
saath kab jashn-e-charaagaan sab manaate
ye taqaza hai bataana dost mil ke
dooriyaan holi mitaati isliye hi
jashn rangon ka manana dost mil ke
raat kii bazm-e-tarab kya khoob hi thi
aur ik mehfil zamaana dost mil ke
silvatein chehre bayaan karti manohar
asliyat us kii bataana dost mil ke
ख़ूब साल-ए-नौ मनाना दोस्त मिल के
रंजिशें सारी भुलाना दोस्त मिल के
एक दुनिया दोस्तों की भी रहे हैं
राज़ दिल के फिर बताना दोस्त मिल के
कोई क़िस्सा जो अधूरा ही रहा हो
याद से सब को सुनाना दोस्त मिल के
साथ कब जश्न-ए-चराग़ाँ सब मनाते
ये तक़ाज़ा है बताना दोस्त मिल के
दूरियाँ होली मिटाती इसलिए ही
जश्न रंगों का मनाना दोस्त मिल के
रात की बज़्म-ए-तरब क्या ख़ूब ही थी
और इक महफ़िल जमाना दोस्त मिल के
सिलवटें चेहरे बयाँ करती 'मनोहर'
अस्लियत उस की बताना दोस्त मिल के
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Manohar Shimpi
our suggestion based on Manohar Shimpi
As you were reading Raaz Shayari Shayari