paazeb ki aawaaz hi ab goonjti hai kaan mein | पाज़ेब की आवाज़ ही अब गूँजती है कान में - Manohar Shimpi

paazeb ki aawaaz hi ab goonjti hai kaan mein
hogi jahaan bhi tu kahi lekin rahegi dhyaan mein

taare kahaan raushan hue suraj bina ai hum-nasheen
vo hi chamak dekhi abhi tere mere armaan mein

aisa koi manzar na hi pehle kabhi dekha yahan
mere khuda is shehar ko rakhna tere imkaan mein

hum ek hi hain ham-nava koi bada chhota kahaan
phir is jahaan mein farq kyun insaan ki pehchaan mein

fitrat agar hai nek to hoga sabhi ka hi bhala
ai ham-nafs tu dekh hai kitni dua eimaan mein

kyun kaahili ko hi jagah koi mile is daur mein
sach mein kami hai hi nahin ab to kisi insaan mein

पाज़ेब की आवाज़ ही अब गूँजती है कान में
होगी जहाँ भी तू कहीं लेकिन रहेगी ध्यान में

तारे कहाँ रौशन हुए सूरज बिना ऐ हम-नशीं
वो ही चमक देखी अभी तेरे मेरे अरमान में

ऐसा कोई मंज़र न ही पहले कभी देखा यहाँ
मेरे ख़ुदा इस शहर को रखना तेरे इम्कान में

हम एक ही हैं हम-नवा कोई बड़ा छोटा कहाँ
फिर इस जहाँ में फ़र्क़ क्यों इंसान की पहचान में

फ़ितरत अगर है नेक तो होगा सभी का ही भला
ऐ हम-नफ़स तू देख है कितनी दुआ ईमान में

क्यों काहिली को ही जगह कोई मिले इस दौर में
सच में कमी है ही नहीं अब तो किसी इंसान में

- Manohar Shimpi
1 Like

Shehar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Manohar Shimpi

As you were reading Shayari by Manohar Shimpi

Similar Writers

our suggestion based on Manohar Shimpi

Similar Moods

As you were reading Shehar Shayari Shayari