mumkin hai kal hayaat mein koii kami na ho
par kya pata labon pe mere tishnagi na ho
ta-umr nok-jhonk ke imkaan ho darmiyaan
jhagda hamaare beech koii aakhiri na ho
gar khudkushi se mar chuke to maa ko dekh lo
daava hai tumse khwaab mein bhi khudkushi na ho
chaaha hai umr-bhar tujhe chaahenge dil-nihaad
vo aarzoo hi kya jo kabhi ho kabhi na ho
ik umr kharch kii hai tere intizaar mein
aisa na ho ki aakhiri deedaar bhi na ho
mauji ajeeb shart lagaate ho aankh pe
tark-e-taalluqaat par inmein nami na ho
मुमकिन है कल हयात में कोई कमी न हो
पर क्या पता लबों पे मेरे तिश्नगी न हो
ता-उम्र नोक-झोंक के इम्काँ हो दरमियाँ
झगड़ा हमारे बीच कोई आख़िरी न हो
गर ख़ुदकुशी से मर चुके तो माँ को देख लो
दावा है तुमसे ख़्वाब में भी ख़ुदकुशी न हो
चाहा है उम्र-भर तुझे चाहेंगे दिल-निहाद
वो आरज़ू ही क्या जो कभी हो कभी न हो
इक उम्र ख़र्च की है तेरे इंतिज़ार में
ऐसा न हो कि आख़िरी दीदार भी न हो
'मौजी' अजीब शर्त लगाते हो आँख पे
तर्क-ए-तअल्लुक़ात पर इनमें नमी न हो
As you were reading Shayari by Manmauji
our suggestion based on Manmauji
As you were reading undefined Shayari