naujawaani la-makaani jaan fishaani aur tum
der se aaye mere lafzon mein maani aur tum
zeest ka purkhaar sehra paar karne ke liye
do hi cheeze laazmi hain sherkhwani aur tum
is jahaan se us jahaan tak do hi cheezen paak hai
swarg se utri hui ganga ka paani aur tum
laakh samjhaaoon magar khud ko yaqeen hota nahin
bas isi hairat mein hoon meri divaani aur tum
main to shayar hoon khayaalaaton se bhi hai dosti
shayari mein jee hi loonga zindagaani aur tum
नौजवानी ला-मकानी जाँ फ़िशानी और तुम
देर से आये मेरे लफ़्ज़ों में मानी और तुम
ज़ीस्त का पुरख़ार सहरा पार करने के लिए
दो ही चीज़े लाज़मी हैं शेरख़्वानी और तुम
इस जहां से उस जहां तक दो ही चीजें पाक है
स्वर्ग से उतरी हुई गंगा का पानी और तुम
लाख समझाऊँ मगर ख़ुद को यक़ीं होता नहीं
बस इसी हैरत में हूँ मेरी दिवानी और तुम
मैं तो शायर हूँ ख़यालातों से भी है दोस्ती
शायरी में जी ही लूँगा ज़िंदगानी और तुम
As you were reading Shayari by Manmauji
our suggestion based on Manmauji
As you were reading undefined Shayari