main pehle muskuraa kar dekhta hoon | मैं पहले मुस्कुरा कर देखता हूँ

  - Manmauji

main pehle muskuraa kar dekhta hoon
hasi ko aazma kar dekhta hoon

nahin jab baat ban paati hasi se
to phir baatein bana kar dekhta hoon

asar baaton ka bhi jab be'asar ho
khuraafaaton pe aa kar dekhta hoon

khuraafaaton ka pardafaash ho jab
har ik khwaahish mita kar dekhta hoon

machal uthati hain saari khwaahishein jab
main do rupaye kama kar dekhta hoon

mahaj do chaar din jeene ki khaatir
jatan kya kya utha kar dekhta hoon

kabhi ungli utha kar dekhta tha
ab aaina utha kar dekhta hoon

मैं पहले मुस्कुरा कर देखता हूँ
हँसी को आज़मा कर देखता हूँ

नहीं जब बात बन पाती हँसी से
तो फिर बातें बना कर देखता हूँ

असर बातों का भी जब बे’असर हो
ख़ुराफ़ातों पे आ कर देखता हूँ

ख़ुराफ़ातों का पर्दाफ़ाश हो जब
हर इक ख़्वाहिश मिटा कर देखता हूँ

मचल उठती हैं सारी ख़्वाहिशें जब
मैं दो रुपए कमा कर देखता हूँ

महज़ दो चार दिन जीने की ख़ातिर
जतन क्या क्या उठा कर देखता हूँ

कभी उँगली उठा कर देखता था
अब आईना उठा कर देखता हूँ

  - Manmauji

Khwaahish Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Manmauji

As you were reading Shayari by Manmauji

Similar Writers

our suggestion based on Manmauji

Similar Moods

As you were reading Khwaahish Shayari Shayari