vasl ki do-chaar raaton ke sahaare | वस्ल की दो-चार रातों के सहारे

  - Manmauji

vasl ki do-chaar raaton ke sahaare
kaat lenge umr vaadon ke sahaare

din badaulat mushkilon ke kat rahe hain
raat yaadon ki baraton ke sahaare

kya hua taqdeer mein ghar haadse hain
jee hi lenge waardaaton ke sahaare

har dafa ghutne tikaaye zindagi ne
phir lada har baar maaton ke sahaare

vo kabhi jo ham-qadam bante the mauji
de rahe hain sirf baaton ke sahaare

वस्ल की दो-चार रातों के सहारे
काट लेंगे उम्र वादों के सहारे

दिन बदौलत मुश्किलों के कट रहे हैं
रात यादों की बरातों के सहारे

क्या हुआ तक़दीर में ग़र हादसे हैं
जी ही लेंगे वारदातों के सहारे

हर दफ़ा घुटने टिकाए ज़िंदगी ने
फिर लड़ा हर बार मातों के सहारे

वो कभी जो हम-क़दम बनते थे ‘मौजी’
दे रहे हैं सिर्फ़ बातों के सहारे

  - Manmauji

Qismat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Manmauji

As you were reading Shayari by Manmauji

Similar Writers

our suggestion based on Manmauji

Similar Moods

As you were reading Qismat Shayari Shayari