aap ko chehre se bhi beemaar hona chahiye
ishq hai to ishq ka izhaar hona chahiye
aap dariya hain to phir is waqt ham khatre mein hain
aap kashti hain to ham ko paar hona chahiye
aire-ghaire log bhi padhne lage hain in dinon
aap ko aurat nahin akhbaar hona chahiye
zindagi tu kab talak dar-dar phiraayegi hamein
toota-foota hi sahi ghar-baar hona chahiye
apni yaadon se kaho ik din ki chhutti de mujhe
ishq ke hisse mein bhi itwaar. hona chahiye
आप को चेहरे से भी बीमार होना चाहिए
इश्क़ है तो इश्क़ का इज़हार होना चाहिए
आप दरिया हैं तो फिर इस वक़्त हम ख़तरे में हैं
आप कश्ती हैं तो हम को पार होना चाहिए
ऐरे-ग़ैरे लोग भी पढ़ने लगे हैं इन दिनों
आप को औरत नहीं अख़बार होना चाहिए
ज़िंदगी तू कब तलक दर-दर फिराएगी हमें
टूटा-फूटा ही सही घर-बार होना चाहिए
अपनी यादों से कहो इक दिन की छुट्टी दे मुझे
इश्क़ के हिस्से में भी इतवार होना चाहिए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Munawwar Rana
our suggestion based on Munawwar Rana
As you were reading Kashmir Shayari Shayari