kisi gareeb ki barson ki aarzoo ho jaaun
main is surang se nikloon tu aab-joo ho jaaun
bada haseen taqaddus hai us ke chehre par
main us ki aankhon mein jhaankoon to ba-wazoo ho jaaun
mujhe pata to chale mujh mein aib hain kya kya
vo aaina hai to main us ke roo-b-roo ho jaaun
kisi tarah bhi ye veeraaniyaan hon khatm meri
sharaab-khaane ke andar ki haav-hoo jaaun
meri hatheli pe honton se aisi mohr laga
ki umr-bhar ke liye main bhi surkh-roo ho jaaun
kami zara si bhi mujh mein na koi rah jaaye
agar main zakham ki soorat hoon to rafu ho jaaun
naye mizaaj ke shehron mein jee nahin lagta
purane waqton ka phir se main lucknow ho jaaun
किसी ग़रीब की बरसों की आरज़ू हो जाऊँ
मैं इस सुरंग से निकलूँ तू आब-जू हो जाऊँ
बड़ा हसीन तक़द्दुस है उस के चेहरे पर
मैं उस की आँखों में झाँकूँ तो बा-वज़ू हो जाऊँ
मुझे पता तो चले मुझ में ऐब हैं क्या क्या
वो आइना है तो मैं उस के रू-ब-रू हो जाऊँ
किसी तरह भी ये वीरानियाँ हों ख़त्म मिरी
शराब-ख़ाने के अंदर की हाव-हू जाऊँ
मिरी हथेली पे होंटों से ऐसी मोहर लगा
कि उम्र-भर के लिए मैं भी सुर्ख़-रू हो जाऊँ
कमी ज़रा सी भी मुझ में न कोई रह जाए
अगर मैं ज़ख़्म की सूरत हूँ तो रफ़ू हो जाऊँ
नए मिज़ाज के शहरों में जी नहीं लगता
पुराने वक़्तों का फिर से मैं लखनऊ हो जाऊँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Munawwar Rana
our suggestion based on Munawwar Rana
As you were reading Gareebi Shayari Shayari