tumhaare husn ka jaadu agar jo aam ho jaaye | तुम्हारे हुस्न का जादू अगर जो आम हो जाए

  - Nityanand Vajpayee

tumhaare husn ka jaadu agar jo aam ho jaaye
to rang-e-husn se bheegi mukammal shaam ho jaaye

tumhein paane kii jadd-o-jahd mein hain saare duniyaavi
addad bhar dil-figaron mein to qatl-e-aam ho jaaye

labon ka surkh-pan dekhen to pee len aag ka dariya
agar aankhon mein utren to samandar jaam ho jaaye

tumhaari mahtaabi se ujaale hain jahaan bhar mein
badan kii raushni se chaand ka awhaam ho jaaye

sipahsaalaar tere gar hamaari jaan le len to
muqaddas aashiqon mein phir hamaara naam ho jaaye

khuda bakshish mein tum jaisi hamein de de jo nityanand
hamaari dil-b-doshi ko zara aaraam ho jaaye

तुम्हारे हुस्न का जादू अगर जो आम हो जाए
तो रंग-ए-हुस्न से भीगी मुकम्मल शाम हो जाए

तुम्हें पाने की जद्द-ओ-जहद में हैं सारे दुनियावी
अदद भर दिल-फ़िगारों में तो क़त्ल-ए-आम हो जाए

लबों का सुर्ख़-पन देखें तो पी लें आग का दरिया
अगर आँखों में उतरें तो समंदर जाम हो जाए

तुम्हारी माहताबी से उजाले हैं जहाँ भर में
बदन की रौशनी से चाँद का औहाम हो जाए

सिपहसालार तेरे गर हमारी जान ले लें तो
मुक़द्दस आशिक़ों में फिर हमारा नाम हो जाए

ख़ुदा बख़्शिश में तुम जैसी हमें दे दे जो 'नित्यानन्द'
हमारी दिल-ब-दोशी को ज़रा आराम हो जाए

  - Nityanand Vajpayee

More by Nityanand Vajpayee

As you were reading Shayari by Nityanand Vajpayee

Similar Writers

our suggestion based on Nityanand Vajpayee

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari