main kab se dar-b-dar hoon mujh ko dar dikha
bahut hua to aakhir-e-safar dikha
suna hai choom lo to zakhm bharte hain
hai dil pe zakhm mere choom kar dikha
jise lihaaz kah ke baandhta hai tu
mujhe to us nazar mein mahaj dar dikha
yun door door se tasalli to na de
gale laga le baahon ka asar dikha
bahakna mera tere haath mein hai ab
jo may na ho nigaah ka hunar dikha
मैं कब से दर-ब-दर हूँ मुझ को दर दिखा
बहुत हुआ तो आख़िर-ए-सफ़र दिखा
सुना है चूम लो तो ज़ख़्म भरते हैं
है दिल पे ज़ख़्म मेरे चूम कर दिखा
जिसे लिहाज़ कह के बाँधता है तू
मुझे तो उस नज़र में महज़ डर दिखा
यूँ दूर दूर से तसल्ली तो न दे
गले लगा ले बाहों का असर दिखा
बहकना मेरा तेरे हाथ में है अब
जो मय न हो निगाह का हुनर दिखा
As you were reading Shayari by Parul Singh "Noor"
our suggestion based on Parul Singh "Noor"
As you were reading undefined Shayari