hui intihaai pukaar kii shab-e-intizaar bhi ab nahin
kahin kho gai meri aarzoo mere dil mein pyaar bhi ab nahin
koii ishq mein na fana hua koii jaan-talak na wafa hui
kisi ahl-e-ishq kii baat pe mujhe e'tibaar bhi ab nahin
kabhi chhoti-chhoti sii baat pe kabhi zikr-e-roz-e-firaq pe
vo jo ashkbaar hua kiye wahi sogwaar bhi ab nahin
mujhe chaand-taaron ka shauq tha mujhe khwaab-kaari ka zauq tha
mile zakhm yun tire hijr mein ki main khwaab-kaar bhi ab nahin
vo shaguftagi tujhe dekh kar vo fasuregi tujhe soch kar
mere rang pe mere roop pe tira ikhtiyaar bhi ab nahin
vo jo har nafs mujhe yaad tha use rafta-rafta bhula diya
ki malaal-e-yaar to kya kahoon koii zikr-e-yaar bhi ab nahin
meri chaah mein koii mujh talak kabhi aa na paaye to kya ajab
ki dil-o-jigar ke dayaar ka koii rahguzar bhi ab nahin
हुई इंतिहाई पुकार की शब-ए-इंतिज़ार भी अब नहीं
कहीं खो गई मिरी आरज़ू मिरे दिल में प्यार भी अब नहीं
कोई इश्क़ में न फ़ना हुआ कोई जाँ-तलक न वफ़ा हुई
किसी अहल-ए-इश्क़ की बात पे मुझे ए'तिबार भी अब नहीं
कभी छोटी-छोटी सी बात पे कभी ज़िक्र-ए-रोज़-ए-फ़िराक़ पे
वो जो अश्कबार हुआ किए वही सोगवार भी अब नहीं
मुझे चाँद-तारों का शौक़ था मुझे ख़्वाब-कारी का ज़ौक़ था
मिले ज़ख़्म यूँ तिरे हिज्र में कि मैं ख़्वाब-कार भी अब नहीं
वो शगुफ़्तगी तुझे देख कर वो फ़सुर्दगी तुझे सोच कर
मिरे रंग पे मिरे रूप पे तिरा इख़्तियार भी अब नहीं
वो जो हर नफ़स मुझे याद था उसे रफ़्ता-रफ़्ता भुला दिया
कि मलाल-ए-यार तो क्या कहूँ कोई ज़िक्र-ए-यार भी अब नहीं
मिरी चाह में कोई मुझ तलक कभी आ न पाए तो क्या अजब
कि दिल-ओ-जिगर के दयार का कोई रहगुज़ार भी अब नहीं
As you were reading Shayari by Prakash Pandey
our suggestion based on Prakash Pandey
As you were reading undefined Shayari