dekha jo husn to khwaab ghazalon ke aate rahe | देखा जो हुस्न तो ख़्वाब ग़ज़लों के आते रहे

  - Prakash Pandey

dekha jo husn to khwaab ghazalon ke aate rahe
mat karo ishq ye husn waale sikhaate rahe

pyaar ki dhun liye main chala jab zamaane mein to
dil faqat chhod kar log har shay dikhaate rahe

haath do paanv do chaaron inke alag kashti mein
aur hunar dekho ye kashti ko hi dubaate rahe

aa raha hai taras is zamaane ke deewaanon pe
ye lutate rahe aur vo aazmaate rahe

jo hua bewafaai ka charcha sar-e-aam to
ro diye kuchh to kuchh shakl apni chhupaate rahe

देखा जो हुस्न तो ख़्वाब ग़ज़लों के आते रहे
मत करो इश्क़ ये हुस्न वाले सिखाते रहे

प्यार की धुन लिए मैं चला जब ज़माने में तो
दिल फ़क़त छोड़ कर लोग हर शय दिखाते रहे

हाथ दो पाँव दो चारों इनके अलग कश्ती में
और हुनर देखो ये कश्ती को ही डुबाते रहे

आ रहा है तरस इस ज़माने के दीवानों पे
ये लुटाते रहे और वो आज़माते रहे

जो हुआ बेवफ़ाई का चर्चा सर-ए-आम तो
रो दिए कुछ तो कुछ शक्ल अपनी छुपाते रहे

  - Prakash Pandey

Bewafai Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Prakash Pandey

As you were reading Shayari by Prakash Pandey

Similar Writers

our suggestion based on Prakash Pandey

Similar Moods

As you were reading Bewafai Shayari Shayari