mushkilon mein dil ke bhi rishte purane ho gaye
baantne waale thikaane be-thikane ho gaye
chand din ke faasle ke baad ham jab bhi mile
yun laga jaise mile hamko zamaane ho gaye
ab bhi hai rag-rag mein qaaim pyaar kii khushboo janab
kya hua jo jism ke kapde purane ho gaye
aankh mein sharm-o-haya paabandiyaan ruswaaiyaan
unke itraane ke ye achhe bahaane ho gaye
mushkilon ke saath mere din guzarte the kabhi
aap ke aane se mere din suhaane ho gaye
muskurahat unki kaise bhool paaoonga raza
ik nazar dekha jinhen aur ham deewane ho gaye
मुश्किलों में दिल के भी रिश्ते पुराने हो गए
बाँटने वाले ठिकाने बे-ठिकाने हो गए
चंद दिन के फ़ासले के बाद हम जब भी मिले
यूँ लगा जैसे मिले हमको ज़माने हो गए
अब भी है रग-रग में क़ाएम प्यार की ख़ुशबू जनाब
क्या हुआ जो जिस्म के कपड़े पुराने हो गए
आँख में शर्म-ओ-हया पाबंदियाँ रुस्वाइयाँ
उनके इतराने के ये अच्छे बहाने हो गए
मुश्किलों के साथ मेरे दिन गुज़रते थे कभी
आप के आने से मेरे दिन सुहाने हो गए
मुस्कराहट उनकी कैसे भूल पाऊँगा 'रज़ा'
इक नज़र देखा जिन्हें और हम दिवाने हो गए
As you were reading Shayari by SALIM RAZA REWA
our suggestion based on SALIM RAZA REWA
As you were reading undefined Shayari