naaz-o-adaa ke saath kabhi be-rukhi ke saath
dil mein utar gaya vo badi saadgi ke saath
aayega mushkilon mein bhi jeene ka fan tujhe
kuchh din guzaar le tu meri zindagi ke saath
khoon-e-jigar nichod ke rakhte hain sher mein
yun hi nahin hai pyaar mujhe shayari ke saath
achhi tarah se aapne jaana nahin jise
yaari kabhi na kijie us ajnabi ke saath
mushkil mein kaise jeete hain ye unse poochiye
guzra hai jinka waqt sada muflisi ke saath
us par na aitibaar kabhi kijie raza
dhoka kiya hai jisne hamesha sabhi ke saath
नाज़-ओ-अदा के साथ कभी बे-रुख़ी के साथ
दिल में उतर गया वो बड़ी सादगी के साथ
आएगा मुश्किलों में भी जीने का फ़न तुझे
कुछ दिन गुज़ार ले तू मेरी ज़िंदगी के साथ
ख़ून-ए-जिगर निचोड़ के रखते हैं शेर में
यूँ ही नहीं है प्यार मुझे शायरी के साथ
अच्छी तरह से आपने जाना नहीं जिसे
यारी कभी न कीजिए उस अजनबी के साथ
मुश्किल में कैसे जीते हैं ये उनसे पूछिए
गुज़रा है जिनका वक़्त सदा मुफ़लिसी के साथ
उस पर न ऐतिबार कभी कीजिए 'रज़ा'
धोका किया है जिसने हमेशा सभी के साथ
As you were reading Shayari by SALIM RAZA REWA
our suggestion based on SALIM RAZA REWA
As you were reading undefined Shayari